Aapki Mehki Hui Zulf Lyrics - Trishul | Amitabh Bachchan | Waheeda Rehman | Sanjeev Kumar | Lata Mangeshkar | Yesudas
in Movies
Watch the Video
Song Information
Aapki mehki hui zulf song is from Trishul (1978) and it is sung by Lata Mangeshkar and Yesudas.It stars Amitabh Bachchan, Waheeda Rehman, Sanjeev Kumar, Prem Chopra in leading roles. This song is penned by Sahir Ludhianvi and composed by Khayyam. It is produced by Gulshan Rai. This song was released on 04 May 1978.
Lyrics
Aapki mehki hui zulf ko kehte hain ghata
Aapke madbhare aankhon ko kanwal kehte hain
Aapke madbhare aankhon ko kanwal kehte hain
Main to kuchh bhi nahi tum ko hasin lagti hoon
Isko chahat bhari nazron ka amal kehte hain
Isko chahat bhari nazron ka amal kehte hain
Ek hum hi nahi
Ek hum hi nahi sab dekhne waale tumko
Sangemarmar pe
Sangemarmar pe likhi shokh ghazal kehte hain
Sangemarmar pe likhi shokh ghazal kehte hain
Aisi baatein na karo
Aisi baatein na karo jinka yakeen mushkil ho
Aisi tareef ko
Aisi tareef ko neeyat ka khalal kehte hain
Aisi tareef ko neeyat ka khalal kehte hain
Aapki mehki hui zulf ko kehte hain ghata
Isko chahat bhari nazron ka amal kehte hain
Meri taqdeer ke tumne mujhe apna samjha
Meri taqdeer ke tumne mujhe apna samjha
Isko sadiyon ki
Isko sadiyon ki tamannaon ka phal kehte hain
Isko sadiyon ki tamannaon ka phal kehte hain
Isko sadiyon ki tamannaon ka phal kehte hain