Aapas Ke Jagdo Mein Dekho Lyrics - Mera Geet | Shalini | Mukri | Sushil Kumar | Mohammed Rafi
in Movies
Watch the Video
Song Information
Aapas ke jagdo mein dekho song is from Mera Geet (1946) and it is sung by Mohammed Rafi.It stars Shalini, Mukri, Sushil Kumar, Naseem Banu in leading roles. This song is penned by Ramesh Gupta and composed by Shankar Rao Vyas. It is produced by Shanti Kumar. This song was released on 01 Jan 2018.
Lyrics
Aapas ke jagdo mein dekho
Bharat ko barbad kiya
Jinka tha mohtaj zamana
Aaj unhe mohtaj kiya
Aapas mein ham rahe jagadte
Gairo ne aa raaj kiya
Jinka tha mohtaj zamana
Aaj unhe mohtaj kiya
Kabhi mere is bharat me bhi
Dudh ki nadiya behti thi ji
Dudh ki nadiya behti thi
Dhan dhan ke the kothar bhare
Anand mein duniya rehti thi
Dhan dhan ke the kothar bhare
Anand mein duniya rehti thi
Tha kuber ka bandar yaha
Hiro ki hoti pesi thi
Mitti ka sona banta tha
Anmol yaha ki reti thi
Mitti ka sona banta tha
Anmol yaha ki reti thi
Aaj usi gulshan ko dekha
Kusum ne aa raaj kiya
Jinka tha mohtaj zamana
Aaj unhe mohtaj kiya
Kabhi mere gulshan ki daliya
Hari bhari lehrati thi
Hari bhari lehrati thi
Jhoom jhoom se sundar kaliya
Geet suhane gaate the
Jhoom jhoom se sundar kaliya
Geet suhane gaate the
Tha saraswati ka vaas yaha
Daulat inshan ki dasi thi
The roz naye tyohar yaha
Har roz diwali aati thi
The roz naye tyohar yaha
Har roz diwali aati thi
Sur me the ye sur mere
Ye kisne besur aaj kiya
Jinka tha mohtaj zamana
Aaj unhe mohtaj kiya
Naye tarane sunte sunte
Bhul gaye ham apna dhal
Gairo se sang chalte chalte
Bhul gaye ham apni chal
Aish mojh fashion mein faskar
Aaj hua bharat kangal
Aaj hua bharat kangal
Roti roti khade pukare
Bharat maa ke lakho lal
Roti roti khade pukare
Bharat maa ke lakho lal.