Zariya (title) song is from and it is sung by and .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Babulal Gajera. This song was released on 11 May 2017.
Teri rooh se main milke
Tujhko mujh mein kar loon
Tere jism se mehek ke
Saanson mein tujhe bhar loon


Likh doon main khudko agar ho
Kagaaz teri bahon ka
Ban jaun manzil main
Teri har raah ka


Zariya ho tum ehsaas ka
Zariya ho tum zazbaat ka
Zariya ho tum mere pyaar ki aagaz ka


Zariya ho tum mere khwab ka
Zariya ho tapish mein chaaon ka
Zariya ho tum mere pyaar ke anjaam ka


Mil jaye jisse raahein dil
Woh marham ban jaaun
Har waqt jo karna chahe
Woh aadat ban jaaun


Teri harqat mein bas
Mai hi rahun
Teri karwat mein bas
Mai hi rahun


Narm si sharm si
Keh do aaina
Aagosh mein yun
Behosh rahun


Ban jaun aaina
Teri nigaahon ka
Ban jaun manzil main
Teri har raah ka


Zariya ho tum ehsaas ka
Zariya ho tum zazbaat ka
Zariya ho tum mere pyaar ki aagaz ka


Zariya ho tum mere khwab ka
Zariya ho tapish mein chaaon ka
Zariya ho tum mere pyaar ke anjaam ka..