Ye Matlab Ka Sansaar Lyrics - Suprava Sarkar
in Movies
Watch the Video
Song Information
Ye matlab ka sansaar song is from My Sister (1944) and it is sung by Suprava Sarkar.It stars Saigal in leading roles. This song is penned by Pandit Bhushan and composed by Pankaj Mullick. This song was released on 01 Jan 1944.
Lyrics
Ye matlab ka sansaar
Ye matlab ka sansaar
Ye matlab ka sansaar
Ye matlab ka sansaar
Kyun rahen hum
Kyun rahen hum
Kyun rahen hum iske saath
Ye matlab ka sansaar
Ye matlab ka sansaar
Suno o o o
Is hare ped ki daalon par
Is hare ped ki daalon par
Do nek parinde rehte
Prem kahaani kehte
Hansti hansti
Basti is duniya mein
Ik roz shikaari aaya
Jisne jisne jalkar
Un dono per ik
Aisa teer chalaaya
Mil gaya khaaq mein
Swarg sa sundar
Mil gaya khaaq mein
Swarg sa sundar
Wo pyaara gharbaar
Ye matlab ka sansaar
Ye matlab ka sansaar
Kyun rahen hum
Kyun rahen hum
Kyun rahen hum iske saath
Ye matlab ka sansaar
Ye matlab ka sansaar
Ye masti bhari jawaani
Ye masti bhari jawaani
Ye roop rang madmaata
Aankhon mein nasha sa laata
Dil mein amrit tarsaata
Jab jaaye jawaani beet
Tab kahen ye man ke meet
Bas parey parey
Ae ae ae ae ae ae ae ae
Bas parey parey
Jaa dhoondh le koi
Apne jaisa yaar
Ye matlab ka sansaar
Ye matlab ka sansaar
Kyun rahe ham
Kyun rahe ham
Kyun rahe ham iske saath
Ye matlab ka sansaar
Ye matlab ka sansaar
Ik nange bhookhe sotey
Kuchh odhhe shaal dushaale
Kuchh ko taaqat ka
Kuchh ko jeene ke laale
Yahaan paani doodh ke bhaav bike
Matti sone ke mol
Kankar ko pooje shankar
Thhukraaye ratan anmol
Neet nayi niraali
Neet nayi niraali raaton ki
Rehti hai yahaan bharmaar
Rehti hai yahaan bharmaar
Ye matlab ka sansaar
Ye matlab ka sansaar
Kyun rahe hum
Kyun rahe hum
Kyun rahe hum iske saath
Ye matlab ka sansaar
Ye matlab ka sansaar.