Yahi Fiqr Hai Lyrics - Meena Kumari | Ulhas | Noor Jehan | Surendra Nath

1944

Lyrics

Yahi fiqr hai shaam pichhle sawere
Yahi fiqr hai shaam pichhle sawere
Haseenon ki galiyon ke hon here phere
Haseenon ki galiyon ke hon here phere
Yahi fiqr hai shaam pichhle sawere

Mere jazb-e-dil ki kashish dekh lenaa
Mere jazb-e-dil ki kashish dekh lenaa
Ke khud hi chale aayenge paas mere
Ke khud hi chale aayenge paas mere
Yahi fiqr hai shaam pichhle sawere

Zameen par utar
Aayaa chaand aasmaan se
Zameen par utar
Aayaa chaand aasmaan se
Garibon ke ghar aaj honge basere
Garibon ke ghar aaj honge basere
Yahi fiqr hai shaam pichhle sawere

Koyi baat poochhe
Na poochhe hamen kyaa
Koyi baat poochhe
Na poochhe hamen kyaa
Dar-e-yaar par ab lagaaye hain dere
Dar-e-yaar par ab laggaye hain dere
Yahi fiqr hai shaam pichhle sawere
Yahi fiqr hai shaam pichhle sawere
Haseenon ki galiyon ke hon here phere
Haseenon ki galiyon ke hon here phere.