Yaaro Sun Lo Zara Lyrics - Rangeela | Aamir Khan | Urmila Matondkar | Jackie Shroff | Krishnan Nair Shantakumari Chitra (K.S. Chitra) | Udit Narayan
in Movies
Watch the Video
Song Information
Yaaro sun lo zara song is from Rangeela (1995) and it is sung by Krishnan Nair Shantakumari Chitra (K.S. Chitra), Udit Narayan and K.S. Chitra.It stars Aamir Khan, Urmila Matondkar and Jackie Shroff in leading roles. This song is penned by Mehboob Alam Kotwal and composed by A R Rahman. It is produced by Ram Gopal Varma. This song was released on 08 Sep 1995.
Lyrics
Yaaron sun lo zara haan apna ye kehna
Jeena ho to appun ke jaise hi jeena
Gaadi bangla nahin na sahi na sahi
Bank balance nahin na sahi na sahi
Tv video nahin na sahi na sahi
Suiting shirting nahin na sahi na sahi
Inki humko kyon ho fikar
Jee lo jaise mast kalandar
Yaaron sun lo zara haan apna ye kehna
Jeena ho to appun ke jaise hi jeena
Gaadi bangla agar ho to kya baat hai
Bank balance se rangeen din raat hai
Tv video agar hai to kya hai maza
Dressing hessing se kuchh aur thaath hai
Inki karlo kuchh to kadar
Yaaro thoda jaao sudhar
Yaaron sun lo zara haan apna ye kehna
Jeena ho to appun ke jaise hi jeena
Humko dekho hum hain
Yaara apni marzi ke raaja
Duniya bole to maza hai
Na kaho khud ko raaja
Naam appun ka munna bhai
Hum kmarein vo jo dil mein samaaye
Arre dhanda kiya na kiya kya fikar
Kaun aaya gaya duniya mein kya khabar
Is duniya se tum jo rahe bekhabar
Kabhi duniya tumhein na bhulaaye
Yaaron sun lo zara haan apna ye kehna
Jeena ho to appun ke jaise hi jeena
Gaadi bangla nahin na sahi na sahi
Bank balance nahin na sahi na sahi
Tv video nahin na sahi na sahi
Suiting shirting nahin na sahi na sahi
Inki karlo kuchh to kadar
Yaaro thoda jaao sudhar
Kal ka kya hai kisne dekha
Hum to aaj mein jeete hain
Jinmein himmat hai nahin
Vo aisi baatein karte hain
Uski to tum baat na karna
Humko dada sub kehte hain
Arre sheron ke jaisa hai apna jigar
Ooncha hi raha hai sada apna sar
Sar se jyaada oonchi rahe ye nazar
Aasmaan bhi to sar ko jhukaye
Yaaron sun lo zara haan apna ye kehna
Jeena ho to appun ke jaise hi jeena
Gaadi bangla agar ho to kya baat hai
Bank balance se rangeen din raat hai
Tv video agar hai to kya hai maza
Dressing hessing se kuchh aur thaath hai
Inki humko kyon ho fikar
Jee lo jaise mast kalandar
Yaaron sun lo zara haan apna ye kehna
Hey jeena ho to appun ke jaise hi jeena.