tuu nahiin to zindagii main aur kyaa rah jaayegaa Lyrics - Shabana Azmi | Raj Kiran | Smita Patil | Chitra Singh (Chitra Dutta)
1982
Lyrics
tu nahiin to zindagii main aur kya rah jaayegaa - 3
dur tak tanhaaiyon ka silasilaa rah jaayegaa
tu nahiin to
dard kii sarii tahen aur saare guzare haadase - 2
sab dhuaan ho jaayenge ek vaaqiyaa rah jaayegaa
tu nahiin to zindagii main aur kya rah jaayegaa
tu nahiin to
yuun bhi hogaa vo mujhe dil se bhulaa dega magar (2)
ye bhi hogaa khud usii main ek khalaa rah jaayegaa

daayare inkaar ke ikaraar kii sarahoshiyaan (2)
ye agar tuute kabhi to faasalaa rah jaayegaa