Tumhi Mere Mandir, Tumhi Meri Pooja Lyrics - Khandan | Sunil Dutt | Nutan | Om Parkesh | Lata Mangeshkar
in Movies
Watch the Video
Song Information
Tumhi mere mandir, tumhi meri pooja song is from Khandan (1965) and it is sung by Lata Mangeshkar.It stars Sunil Dutt, Nutan and Om Parkesh in leading roles. This song is penned by Rajinder Krishan and composed by Ravi Shankar Sharma (Ravi). It is produced by Vasu Menon. This song was released on 01 Jan 1965.
Lyrics
tumhi mere mandir, tumhi meri puja
tumhi devta ho, tumhi devta ho
tumhi mere mandir, tumhi meri puja
tumhi devta ho, tumhi devta ho
koi meri aankho se dekhe to samajhe
ke tum mere kya ho, ke tum mere kya ho
tumhi mere mandir, tumhi meri puja
tumhi devta ho, tumhi devta ho
jidhar dekhti hu udhar tum hi tum ho
na jane magar kin khayalo me gum ho
jidhar dekhti hu udhar tum hi tum ho
na jane magar kin khayalo me gum ho
mujhe dekhkar tum zara muskura do
nahi to mai samajhugi, mujhse kafa ho
tumhi mere mandir, tumhi meri puja
tumhi devta ho, tumhi devta ho
tumhi mere mathe ki bindiya ki jhilmil
tumhi mere hatho ke gajro ki manzil
tumhi mere mathe ki bindiya ki jhilmil
tumhi mere hatho ke gajro ki manzil
mai hun ek chhoti si maati ki gudiya
tumhi pran mere, tumhi aatma ho
tumhi mere mandir, tumhi meri puja
tumhi devta ho, tumhi devta ho
bahut raat biti chalo mai sula du
pavan chhede sargam mai lori suna du
bahut raat biti chalo mai sula du
pavan chhede sargam mai lori suna du
tumhe dekhkar ye kayal aa raha hai
ke jaise farishta koi so raha hai
tumhi mere mandir, tumhi meri puja
tumhi devta ho, tumhi devta ho
tumhi mere mandir, tumhi meri puja
tumhi devta ho, tumhi devta ho