Tum salamat raho yeh hai meri dua song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Neera Mehra, Prakash Mehra. This song was released on 15 Jul 1983.
Falak pe jitne sitare hain, zindagi ho teri
Chaand se zyada zamane mein roshini ho teri
Tera sadka utaar doon kahin nazar na lage
Tu sada khush rahe, duniya ki har khushi ho teri

Tum salamat raho, haan salamat raho
Tum salamat raho yeh hai meri dua
Tum salamat raho yeh hai meri dua
Mere daaman mein hai bhi kya
Mere daaman mein hai bhi kya dua ke siwa
Tum salamat raho yeh hai meri dua
Tum salamat raho yeh hai meri dua

Shole armaanon ke machalte hain
Hum shama ki tarah pighalte hain
Shole armaanon ke machalte hain
Hum shama ki tarah pighalte hain
Tumhari bazm mein jalte hain charag
Jalte hain charag
Meri aankhon mein khwaab jalte hai
Shole armaanon ke machalte hain
Dekhti hoon jidhar ho tumhi tum udhar
Dekhti hoon jidhar ho tumhi tum udhar
Kuchh nazar aaye na ab tumhare siwa
Tum salamat raho yeh hai meri dua
Tum salamat raho yeh hai meri dua

Ab bahaaron ki zaroorat kya hai
In nazaron ki zaroorat kya hai
Ab bahaaron ki zaroorat kya hai
In nazaron ki zaroorat kya hai
In nigaahon ka karam kaafi hai, kaafi hai
Ab saharon ki zaroorat kya hai
Ab bahaaron ki zaroorat kya hai
Umra se hain tumhare ujaale yahan
Umra se hain tumhare ujaale yahan
Tum salamat raho yeh hai meri dua
Tum salamat raho yeh hai meri dua

Aaj ka jashn, aaj ki ghadi mubarak ho
Yeh sama, yeh khumari, yeh khushi mubarak ho
Hai tamanna hamari, hai yeh chahat hamari
Ke zamane ki saari nematein hon tumhari
Kash pahunche falak pe yeh sadayein hamari
Ke hamari bhi umar tumhein lag jaaye saari
Hai tumhari hansi par kurban sab
Hai tumhari hansi par kurban sab
Mera dil bhi, meri jaan bhi dilruba
Tum salamat raho yeh hai meri dua
Mere daaman mein hai bhi kya dua ke siwa
Tum salamat raho, tum salamat raho
Tum salamat raho yeh hai meri dua