tum na jaane kis jahaaN men kho gaye Lyrics - Kamini Kaushal | Dev Anand | Nimmi | Lata Mangeshkar

1951

Lyrics

tum na jaane kis jahaan men kho gaye
ham bharii duniyaa men tanahaa ho gaye
tum na jaane kis jahaan men
ek jaan aur laakh gam, ghut ke rah jaaye na dam
aao tum ko dekh len, duubatii nazaron se ham
luut kar meraa jahaan chhup gaye ho tum kahaan - 2
tum kahaan, tum kahaan, tum kahaan
tum na jaane kis jahaan men
maut bhii aatii nahiin, raat bhii jaatii nahiin
dil ko ye kyaa ho gayaa, koii shah bhaatii nahiin
luut kar meraa jahaan chhup gaye ho tum kahaan - 2
tum kahaan, tum kahaan, tum kahaan
tum na jaane kis jahaan men