Tu Auron Ki Kyon Ho Gayi Lyrics - Ek Baar Muskura Do | Tanuja | Rajendra Nath | Joy Mukherjee | Kishore Kumar
in Movies
Watch the Video
Song Information
Tu auron ki kyon ho gayi song is from Ek Baar Muskura Do (1972) and it is sung by Kishore Kumar.It stars Tanuja, Rajendra Nath, Joy Mukherjee, Sajjan in leading roles. This song is penned by Indeevar (Shyamalal Babu Rai) and composed by O. P. Nayyar. This song was released on 01 Jan 1972.
Lyrics
Tujhko aaj batana hoga
Kya thi woh majboori
Sath umra bhar ka dena tha
De di umra bhar ki doori
Kitne atal the tere iraade
Yaad to kar tu wafa ke waade
Toone kaha tha, kha kar kasmein
Sada nibhayenge pyaar ki rasmein
Tu auron ki kyon ho gayi
Tu hamaari thi, jaan se pyaari thi
Tere liye maine duniya sanvaari thi
Tu auron ki kyon ho gayi
Pyaar ki masti toone na chaahi
Toone to chaha chaandi ka pyala
Aansoo kisi ke kya tu pahanti
Tujhko pehan-ni thi moti ki mala
Ho tujhko pehan-ni thi moti ki mala
Pag pag par vishwas ke badle
Chhala karegi tujhko shanka
Aag ke lapton mein lipti hai
Yeh teri sone ki lanka
Tu auron ki kyon ho gayi
Tu hamaari thi, jaan se pyaari thi
Tere liye maine duniya sanvaari thi
Tu auron ki kyon ho gayi
Kya yeh tere sukh ke saadhan
Meri yaad ko bhula sakenge
Meri yaad jab neend udaa degi
Kya yeh tujhko sula sakenge
Ho kya yeh tujhko sula sakenge
Saadhan mein sukh hota nahin hai
Sukh jeevan ki ek kalaa hai
Mujhse hi chhal kiya na toone
Apne ko toone aap chhala hai
Tu auron ki kyon ho gayi
Tu hamaari thi, jaan se pyaari thi
Tere liye maine duniya sanvaari thi
Tu auron ki kyon ho gayi
Tere liye main laya baharein
Tere liye main jaan pe khela
Do din toone hi raah na dekhi
Chhod ke chal di mujhe akela
Ho chhod ke chal di mujhe akela
Teri judaai meri chita hai
Gham ki chita mein main jal raha hoon
Man mera dehke marghat jaisa
Angaaron pe main chal raha hoon
Tu auron ki kyon ho gayi
Tu hamaari thi, jaan se pyaari thi
Tere liye maine duniya sanvaari thi
Tu auron ki kyon ho gayi
Tu auron ki kyon ho gayi
Tu auron ki kyon ho gayi