Paisa shohrat, ye dono musibat Ye na sab ki kismat Ye bas uss ki kismat Jisne ki hai zehmat Uspe Rabb ki rehmat Jisne ki hai mehnat Jisne ki hai mehnat
Kahan se karu shuruwat Unn bheed se bhari tang galiyon se Jahaan per pala bada ghumma un galiyon se Ya rishtedaron ki galiyon se Ya kaam se milli mujhe taliyon se Ya kabhi toot ke rone wali ankhon se
Ya duniya jeet lene wali baaton se Ya unn raaton se Jinn raat soyeya nahi Aur likh dala itihaas inn haathon se
Main shuru se shuruwat karta hun Ik aam ghar ka main ladka hun Kar dinn dugne raat chogni Pariwar ko khush main rakhta hun Apne dum pe bana apne dum pe kara Jo bhi kiya maine liya kisi ka sahara nahi
Milta hai mauka ek baar Mera mauka khone ka irada nahi Main isse kam usse zyada nahi
Main hoon poora khel Main khel ka peyada nahi Hona gareeb paida kismat Maroon bhi gareeb Toh milli zindagi ka fayeda nahi Jo bhi karun main karun main seena thok ke Kisi se main darun kiya aisa koi kaam nahi
Jo bhi mili safalta Uss safalta ke piche
Mere pitaji ka naam nahin Log milte hai papa se Kehte hai ladke ne Kaam se patyal ji naam hai kiya Sach bolun toh isse badd kar Ikka ke liye koi inaam nahin
Paisa shohrat, ye dono musibat Ye na sab ki kismat Ye bas uss ki kismat Jisne ki hai zehmat Uspe Rabb ki rehmat Jisne ki hai mehnat Jisne ki hai mehnat
Mushkil se mushqil ko hull kiya Kiya aaj maine na kal kiya Ki hai maine jee todd mehnat Naa aaram ek pal kiya
Huyi mujh se bhi kaafi dekho galtiyan Galtiyon se apni seekh li Jo banaya maine khud hai banaya Na phailake haath maine bheekh li
Meri gareebi thi mera motivation Kharaab thi situation Maine halaat ko maat di Apni banayi kuch reputation
Maine khud pe yakeen kiya Kiya yakeen apni udaan pe Himmat se kaam liya chodi na umeed Nahi toh betha hota baap ki dukaan pe
Paisa shohrat, ye dono musibat Ye na sab ki kismat Ye bas uss ki kismat Jisne ki hai zehmat Uspe Rabb ki rehmat Jisne ki hai mehnat Jisne ki hai mehnat