saaNchii kahen tore aavan se hamare Lyrics - Dilip Kumar | Kamini Kaushal | Sachin | Jaspal Singh

1982

Lyrics

saanchii kahen tore aavan se hamare
anganaa men aa_ii bahaar bhaujii
lakshmii sii suurat mamataa kii muurat
laakhon men ek hamaar bhaujii
1) tulasii kii sevaa chandaramaa kii puujaa
kajarii jaisaa anganavaa men guunjaa
ab hamane jaanaa ke phagavaa sivaa bhii - 2
hote hain kitane tyohaar bhaujii, saanch
2) ye ghar thaa bhuutan kaa deraa
jab se bhayaa tumharaa pag pheraa
duniyaa badal ga_ii haalat sambhal ga_ii - 2
an dhan ke laage bhandaar bhaujii, saanch
3) bachapan se ham kaakaa kahi-kahi ke haare
koii hamen bhii to kaakaa pukaare
deii de bhatiijaa phulavaa sariikhaa - 2
maanenge ham upakaar bhaujii, saanch