Rona kabhee nahee rona, chahe tut jayey koyi khilona, khilonaSona chupke se sona chahe tut jayey, sapna salona, salonaDukh sukh kee kya bat hai, kya din hai kya rat haiAansu bhi muskan bane, yeh toh apne hath haiAashao kee dori me sada, tum mann ke phul pironaRona kabhee nahee rona, chahe tut jayey, koyi khilona, khilonaDekho bachcho bagh me, sab kaliya nahee khilati
Dooniya me insan ko, sab chizein nahee milatiJo apna nahee, tum usake liye, jo apna hai nahee khonaRona kabhee nahee rona, chahe tut jayey koyi khilona, khilonaRang se aur naa dham se, jhat se aur naa nam seIjjat milati hai yaha, dekho achche kam seKoyi kam bura tum mat karna, badnam kabhee nahee honaRona kabhee nahee rona, chahe tut jayey koyi khilona, khilonaSona chupke se sona, chahe tut jayey sapna salona, salonaRona (chachha nahee rona), chahe tut jayey koyi khilona, khilona.