Rakhi dhagon ka tyohar song is from and it is sung by .It stars , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by A. Bhimsingh. This song was released on 01 Jan 2018.
Rakhi dhagon ka tyauhar
Rakhi dhagon ka tyauhar
Bandha huwa ik ik dhage mein
Bhai bahan ka pyaar
Rakhi dhagon ka tyauhar
Rakhi dhagon ka tyauhar


Kitna komal kitna sundar
Bhai behan ka nata
Iss nate ko yaad dilane
Yeh tyauhar hain aata
Behan ke man kee
Aashayein rakhi ke yeh tar
Rakhi dhagon ka tyauhar
Rakhi dhagon ka tyauhar


Behan kahe mere veer tuje
Na buri najariya lage
Mere raja bhaiya tujako
Meree umariya lage
Dhan hu paraya phir bhee
Milungi sal mein toh ek bar
Rakhi dhagon ka tyauhar
Rakhi dhagon ka tyauhar


Bhai kahe o behan main
Teree laj ka hu rakhwala
Gunthunga main pyaar se
Tere armano kee mala
Bhainbahan ka pyaar rahega
Jab tak hain sansaar


Rakhi dhagon ka tyauhar
Rakhi dhagon ka tyauhar
Bandha huwa ik ik dhage mein
Bhai bahan ka pyaar
Rakhi dhagon ka tyauhar
Rakhi dhagon ka tyauhar.