Qurban Meri Jaan Lyrics - Bijli Aur Toofan | Raza Murad | Sadashiv Amrapurkar | Kader Khan | Mohammed Aziz
in Movies
Watch the Video
Song Information
Qurban meri jaan song is from Bijli Aur Toofan (1988) and it is sung by Mohammed Aziz.It stars Raza Murad, Sadashiv Amrapurkar, Kader Khan, Sonika Gill in leading roles. This song is penned by Khalid Shareef and composed by Anwar (Anwar - Usman), Usman (Anwar - Usman). It is produced by Mohan T Gehani. This song was released on 01 Jun 1988.
Lyrics
Qurban meri jaan mohammad ke naam par
Qurban meri jaan mohammad ke naam par
Marta hai musalma,
Marta hai musalman mohammad ke naam par
Qurban meri jaan mohammad ke naam par
Qurban meri jaan mohammad ke naam par
Allah ne bkasha din noora ni khjana
Ek main nahi kahta hu ye kahta hai zmana
Allah ne bkasha din noora ni khjana
Ek main nahi kahta hu ye kahta hai zmana
Hote na mohammad to kaha hota thikana
Laya hu main iman mohammad ke naam par
Qurban meri jaan mohammad ke naam par
Qurban meri jaan mohammad ke naam par
Us kali kamli wale ka ek wakaya suno
Ishq ke rasul kahte kise hai zara suno
Mulke arab me ek tikha tuna bemisal
Tha uska dil rasul ki ulfat se malamal
Dorane jang chal chali dushmanan ne
Falayi ye khabar ke mohammad nahi rahe
Sunte hi is khabar ko preshan ho gayi
Ghar se nikal ke jang ke madan ko chali
Biwi ne raste mein kai logo ko dekha
Mere hujur kaise hai majme se ye puchha
Khamosh sab khade rahe aur koi na bola
Ek shkas ne jawab diya uski bat ka
Hajrat to khariyat se hai par hai buri khabar
Is jang mein tumhare shohar gaye gujar
Sunte hi is khabar ko kiya sabar aur parnam
Ek zakham kaya magar dil par phir bhi na ruki
Hajrat ko dekhne ke liye dodne lagi
Majma ek aur nazar aaya usko samne
Achhe to rasul hai lagi sab se puchhne
Khamosh sab khade rahe aur koi na bola
Ek shkas ne jawab diya uski bat ka
Hajrat to khariyat se hai par hai buri khabar
Is jang mein tumhara beta gaya hai mar
Sunte hi is khabar ko kiya sabar aur parnam
Itne mein usko dur nazar aa gaye nabi
Ek dam khushi se aapke kadmo pe gir padi
Pyare nabi ne sabar ki talkim ki use
Barish ho bharkato ki tujh par khuda kare
Aurat ne ye suna to kaha aye mere nabi
Jab aap slamat hai to phir gham nahi koi
Pyare hujur mere sabhi aap pe kurba
Hum aap ki umat mein hai hum par hai ye ehsa
Paigam hai sabhi ke liye aapka farma
Hai khatam dastan mohammad ke naam par
Qurban meri jaan mohammad ke naam par
Qurban meri jaan mohammad ke naam par
Marta hai musalma,
Marta hai musalman mohammad ke naam par
Qurban meri jaan mohammad ke naam par
Qurban meri jaan mohammad ke naam par
Qurban meri jaan
Mohammad ke naam par
Mohammad ke naam par.