Uljhi hui yeh doriyaan.. Uljhi hui yeh doriyaan suljha le Dil ki tu suney agar Dil sacha hai dilwale
Raahein nahin aisi toh kahin Jahaan kahin koi mod nahin Kehta hai yeh dil Toote sheeshon ko tu jod nahin
Raahon mein do raahein Aate hain sau baar Kadam kadam ikraar hai Kadam kadam inkaar
Phir bhi yeh zindagi Pal bhar ko bhi kabhi rukti hi nahi Lehrein yeh waqt ki Pal bhar ko bhi kabhi rukti hi nahi
Tanhaaiyan hai ghul si gayi saanson mein O.. kya karein..
Maana kahin koi bhi nahin Jisey mila kabhi gham na ho Par humko toh wo gham hai jo Ik pal ko bhi kam naa ho
Humne jo baazi kheli, jeet nahi paaye
Ab wo tanhaai hai jo beet nahi paaye
Phir bhi yeh zindagi Pal bhar ko bhi kabhi rukti hi nahi Lehrein ye waqt ki Pal bhar ko bhi kabhi rukti hi nahi
Tanhaaiyan.. hai ghul si gayi saanson mein O.. kya karein..
Angdaai leti hain phir se umeedein Palkon pe chaaye jo sapne Jaag uthte phir jaise dil mein Armaan jo soye thhe apne Jaana hai kis raste Ye bhi na tu jaane Kyun hai dil deewaane
Phir bhi yeh zindagi Pal bhar ko bhi kabhi rukti hi nahi Lehrein ye waqt ki Pal bhar ko bhi kabhi rukti hi nahi
Tanhaaiyan hai ghul si gayi saanson mein O.. kya karein..
Uljhi hui ye doriyan.. Uljhi hui ye doriyan suljha le Dil ki tu suney agar Dil sacha hai dilwale