Pathar ke sanam song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by A A Nadiadwala, Sajid Nadiadwala. This song was released on 01 Jan 1968.
Mohabbat ka Khuda jaana
Pathar ke sanam tujhe hamne
Mohabbat ka Khuda jaana
Badi bhool huyi arre hamne
Yeh kya samjha, yeh kya jaana
Pathar ke sanam

Chera tera dil mein liye
Chalte rahe angaron pe
Tu ho kahin, tu ho kahin sajde kiye
Hamne tere ruksaron ke
Hum sa na ho koyi deewana
Pathar ke sanam tujhe hamne
Mohabbat ka Khuda jaana
Pathar ke sanam

Socha tha yeh badh jaayengi
Tanhaiyan jab raaton ki
Rasta hamein, rasta hamein dikhlaayegi
Sham-e-wafaa un haathon ki
Thokar lagi tab pehchana
Pathar ke sanam tujhe hamne
Mohabbat ka Khuda jaana
Pathar ke sanam

Aye kaash ke hoti khabar
Toone kise thukraya hai
Sheesha nahi, sheesha nahi, sagar nahi
Mandir sa ik dil dhaya hai
Tha aasman hai veerana

Pathar ke sanam tujhe hamne
Mohabbat ka Khuda jaana
Badi bhool huyi arre hamne
Yeh kya samjha, yeh kya jaana
Pathar ke sanam