Koi Nahi Hai Phir Bhi Hai Mujhko Lyrics - Patthar Ke Sanam | Vikram | Waheeda Rehman | Mumtaz | Lata Mangeshkar
in Movies
Watch the Video
Song Information
Koi nahi hai phir bhi hai mujhko song is from Patthar Ke Sanam (1968) and it is sung by Lata Mangeshkar.It stars Vikram, Waheeda Rehman, Mumtaz, Pran in leading roles. This song is penned by Majrooh Sultanpuri and composed by Laxmikant Pyarelal. It is produced by A A Nadiadwala, Sajid Nadiadwala. This song was released on 01 Jan 1968.
Lyrics
Koi nahi hai phir bhi hai mujhko
Kya jaane kiska intezar ho
Koi nahi hai phir bhi hai mujhko
Kya jaane kiska intezar ho
Yeh bhi na jaanu lehra ke aanchal
Kisko bulaaye baar baar
Sochun yeh hai ungliyan kiske pyar ki
Gaalon ko chhuye jo daali bahaar ki
Chhuye jo daali bahaar ki
Sochun yeh hai ungliyan kiske pyar ki
Kaun hai aye hawa, aye bahaar
Koi nahi hai phir bhi hai mujhko
Kya jaane kiska intezar
Kya jaane kiska intezar
Paani mein chhavi main dekhun khadi khadi
Baalon mein saja ke kaliyan badi badi
Saja ke kaliyan badi badi
Paani mein chhavi main dekhun khadi khadi
Phir banoon aap hi beqaraar
Koi nahi hai phir bhi hai mujhko
Kya jaane kiska intezar
Kya jaane kiska intezar
Waadi mein nishan mere hi paanv ke
Phoolon pe hain rang meri hi chhanv ke
Hain rang meri hi chhanv ke
Waadi mein nishan mere hi paanv ke
Phir bhi kyon aaye na aitbaar
Koi nahi hai phir bhi hai mujhko
Kya jaane kiska intezar ho
Yeh bhi na jaanu lehra ke aanchal
Kisko bulaaye baar baar
Kya jaane kiska intezar
Kya jaane kiska intezar