LyricsTashan

Nigaho Ko Tere Jalwe Ki Aas Rahti Hai (Ab Aa Bhi Ja Ke Tera Intezaar Karte Hai) Lyrics - Society | Balbir | Mohammed Rafi

in Movies

Watch the Video

Song Information

Nigaho ko tere jalwe ki aas rahti hai (ab aa bhi ja ke tera intezaar karte hai) song is from and it is sung by and .It stars Iftekhar, Vikram Kapoor and Nasir Khan in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Film India Corporation. This song was released on 01 Jan 2018.

Lyrics

nigah ko tere jalve ki aas rahti hai
ha tere bagair tabiyat udas rahti hai
ab aa bhi ja ja ki tera, intjar kab se hai
ab aa bhi ja ki tera, intjar kab se hai
ab aa bhi ja ki tera, intjar kab se hai
tere liye mera dil bekrar kab se hai
tere liye mera dil bekrar kab se hai
ab aa bhi ja aa bhi ja

aaye the isi sahar me, hum naaj uthane ke liye
kya khabar hum yaha tarsenge pani ke liye
berukhi are berukhi teri
garibo ki khaza ban jayegi
sahar ki jo bhi gali hai kar bala ban jayegi
ki dhun me ?
ki dhun me har ek dindaar kab se hai ?
ki dhun me har ek dindaar kab se hai ?
ab aa bhi ja ja ke tera, intjar kab se hai
tere liye mera dil bekrar kab se hai
ab aa bhi ja aa bhi ja

kitne dil bekal is ruthi huyi kal ke liye
kis kadar damyantiya baithi hai ek nal ke liye
luta luta sa sabhi ka singar kab se hai
luta luta sa sabhi ka singar kab se hai
ab aa bhi ja ki tera, intjar kab se hai
tere liye mera dil bekrar kab se hai
ab aa bhi ja aa bhi ja

tu jo aa jaye to jalvo ko nikharna aa jaye
tu jo aa jaye to
haaye reshami julfo ko bal kha ke bikhrana aa jaye
reshami julfo ko
najnino ki nigaaho me lachak aa jaye
ishq ke nek irado me chamak aa jaye
mohabbato ka
mohabbato ka jaha sau gavar kab se hai
ab aa bhi ja ki tera, intjar kab se hai
ab aa bhi ja ki tera, intjar kab se hai
tere liye mera dil bekraar kab se hai
ab aa bhi ja aa bhi ja

do kadam chalta nahi tu hum fakiro ke liye
satavi manjil pe chadta hai amiro ke liye
unke kutte bhi nahate hai nirali shaan se
aur yaha pine ka pani dur hai insaan se
dhani ki jeet haye
dhani ki jeet garibo ki haar kab se hai
dhani ki geet garibo ki haar kab se hai
ab aa bhi ja ki tera, intjar kab se hai
tere liye mera dil bekrar kab se hai
ab aa bhi ja aa bhi ja

raham kar jalim humari naukari par raham kar
khud se jo milti nahi us naukari par raham kar
ishq per karta nahi to husn hi par raham kar
hindu muslim sikh isai kisi par raham kar
raham kar raham kar, raham kar raham kar
lagi huyi yaha, lagi huyi yaha
sabki katar kab se hai
lagi huyi yaha sabki katar kab se hai
ab aa bhi ja ki tera, intjar kab se hai
ab aa bhi ja aa bhi ja
are are nahi aayega chalo chalo

Related Songs

More songs from Society (1955)
More songs of Balbir
More songs of Mohammed Rafi