Na aadami ka koyi bharosa song is from and it is sung by .It stars , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by P S Veerappa. This song was released on 16 Jul 1968.
Teri mohabbat pe shak nahi hai
Teree wafao ko manata hu
Magar tujhe kiski aarju hai
Main yeh hakikat bhi janata hu


Na aadami ka koyi bharosa
Naa dosti ka koyi thikana
Wafaa kaa badalaa hain bewafayi
Ajab jamana hain yeh jamana
Na aadami ka koyi bharosa


Naa husn mein abb woh dilakashee hai
Naa ishk mein abb woh jindagi hai
Jidhar nigaahe uthake dekho
Sitam hain dhokhaa hain berukhi hai
Badal gaye jindagee ke nagame
Bikhar gayaa pyaar kaa tarana
Badal gaye jindagee ke nagame
Bikhar gayaa pyaar kaa tarana
Na aadami ka koyi bharosa


Dawa ka badale mein jeher de do
Utaar do mere dil mein khanjar
Lahu se sincha tha jis chaman ko
Uge hain shole ussi ke andar
Mere hee ghar ke charaag ne khud
Jala diya mera aashiyana
Mere hee ghar ke charaag ne khud
Jala diya mera aashiyana
Na aadami ka koyi bharosa
Naa dosti ka koyi thikana
Wafaa kaa badalaa hain bewafayi
Ajab jamana hain yeh jamana.