Musafiron Ka Koyi Aitbaar Mat Karna Lyrics - Ashok Khosla

2005

Lyrics

Musafiron ka koyi aitbaar mat karna
Musafiron ka koyi aitbaar mat karna
Jahan mile the wahan intazaar mat karna
Musafiron ka koyi aitbaar mat karna

Main bach gaya hoon magar saare khaab dub gaye
Main bach gaya hoon magar saare khaab dub gaye
Main bach gaya hoon magar saare khaab dub gaye
Meri tarah se samandar ko paar mat karna
Musafiron ka koyi aitbaar mat karna

Tumhari yaad kisi din agar na aaye mujhe
Tumhari yaad kisi din agar na aaye mujhe
Tumhari yaad kisi din agar na aaye mujhe
Meri hayat mein woh din shumaar mat karna
Musafiron ka koyi aitbaar mat karna

Main neend hoon meri had hain tumhari palko tak
Main neend hoon meri had hain tumhari palko tak
Main neend hoon meri had hain tumhari palko tak
Badan jala ke meri intazaar mat karna
Musafiron ka koyi aitbaar mat karna

Musafiron ka koyi aitbaar mat karna
Jahan mile the wahan intazaar mat karna
Musafiron ka koyi aitbaar mat karna.