Musaafir hai ham tum song is from and it is sung by , and .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
Musaafir hai ham tum ye duniya sarai
Idhar koi aaye udhar koi jaaye
Ye jalave ye nagame ye mehfil suhaani
Ye husn aur mohabbat ki ragi kahani
Yaha ki har ek chiz hai aani jaani
Wo nadan hai inase jo dil lagaaye
Musaafir hai ham tum
Har ek chiz me hai nayi zindagani
Wo nadan hai jo yaha tak na aaye
Musaafir hai ham tum


Zamana hua hai na hoga kisi ka
Tamasha hai sara ghadi do ghadi ka
Bharosa na karna kabhi zindagi ka
Naa maalum kab saans aaye na aaye
Musaafir hai ham tum


Ye duniya hai do ghadi ka tamasha
Na karna yaha zindagi ka bharosa
Naa baaki rahe koi dil ki tamanna
Adhuri kahi daastaa rah na jaaye
Musaafir hai ham tum.

More songs from Sim Sim Marjina (1958)