Mohammad Shah Rangile Re Lyrics - Nadir Shah | Feroz Khan | Naaz | Suman Kalyanpur | Mohammed Rafi
in Movies
Watch the Video
Song Information
Mohammad shah rangile re song is from Nadir Shah (1968) and it is sung by Suman Kalyanpur and Mohammed Rafi.It stars Feroz Khan and Naaz in leading roles. This song is penned by Majrooh Sultanpuri and composed by S N Tripathi. It is produced by Amarjeet Productions. This song was released on 01 Jan 2018.
Lyrics
mohammad shah rangeele re
mohammad shah rangeele re
sajna
tum bin main ka
ab din ratiyaan
kachhu na suhaawe
mohammad shah rangeele re
mohammad shah rangeele re
sajna
tum bin main ka
ab din ratiyaan
kachhu na suhaawe
mohammad shah rangeele
agar nikal ke teri bazm se kahin chaliye
aa aa agar nikal ke teri bazm se kahin chaliye
to baar baar ye kehta hai dil
wahin chaliye
o o o o
isiliye to ye mehfil sajaaye baithe hain
isiliye to ye mehfil sajaaye baithe hain
ke hum charaag nahin dil jalaye baithe hain
aaaa
mohammad shah rangeele re
sajna
tum bin main ka
ab din ratiyaan
kachhu na suhaawe
mohammad shah rangeele
ye baat kyaa hai ki dil jab se teri chaah mein hai
ye baat kyaa hai ki dil jab se teri chaah mein hai
kahin wo rang nahin
jo teri niagaah mein hai
aaaa
meri nazar mein nahin qatl o khoon ke afsaane
meri nazar mein nahin qatl o khoon ke afsaane
chhalak rahe hain yahan
rang o boo ke paimaane
aaaa
mohammad shah rangeele re
sajna
tum bin main ka
ab din ratiyaan
kachhu na suhaawe
mohammad shah rangeele
idhar na dekhoge kab tak sajan kaho to sahee
aa idhar na dekhoge kab tak sajan kaho to sahee
lagi huyi hai ye kiski lagan
kaho to sahee
aaaa
main dhundhta hoon wo ek geet zindagi ke liye
main dhundhta hoon wo ek geet zindagi ke liye
ke zindagi bane sangeet aadmi ke liye
aaaa
mohammad shah rangeele re
sajna
tum bin main ka
ab din ratiyaan
kachhu na suhaawe
mohammad shah rangeele