MOHABBAT Lyrics - Aditya Narayan
Lyrics
Mohabbat badi ajeeb si cheez hai
Mohabbat zindagi ke kareeb hai
Mohabbat mein dooba hai saara jahan
Mohabbat na hoti toh hota kya yahaan
Aakhir kya hota hai pyar
Koi toh samjhao yaar
Ansulja sa ye sawaal
Kya hai aur kyu hai yeh pyar
Mohabbat ek ajnabi sa khwab hai
Mohabbat jawab tha jawab hai
Kehte hai mohabbat hi khuda
Mohabbat hi jahaan
Mohabbat na hoti toh hota kya yahaan
Aakhir kya hota hai pyaar
Koi toh samjhao yaar
Ansulja sa ye sawaal
Kya hai aur kyu hai yeh pyar
Kehte hain har kisi ke liye
Kisi na kisi ko banaya hai
Agar mil jaaye woh koi toh
Zindagi ne samjho gale lagaya hai
Kab milegi meri woh
Samjhayegi mujhe jo kyun
Mohabbat mein dooba hai saara jahan
Mohabbat na hoti toh hota kya yahaan
Aakhir kya hota hai pyar
Koi toh samjhao yaar
Ansulja se ye sawaal
Kya hai aur kyun hai ye pyar