Meri amma suno mera kehna song is from and it is sung by and .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Amy Thanawala. This song was released on 15 May 2009.
Meri amma suno mera kehana,
Lage abba bina sab suna
Mujhe baaton se na behlaao,
Jaao aao abba kahin se laao
Maan bhi jaao yeh jidd meri,
Aur karo na abb tum deri
Tumase ruthunga main warana
Are chhodo yeh jidd abb karana,
Na sataao mujhe tum itana
Main manaau tujhe tu na maane,
Meri uljhan hai kya tu na jaane
Kaise main pakadu haath kisi ka,
Tu hi bata de naam usika
Maan lungi tera kehana


Ammameri yeh kaho jara,
Kaisa lage tujhe deewaana
Jo hai sargam ka
Gane lage woh jab bhi kabhi jhumane
Hum lage batao batao sach hai na
Sach tumane kaha hai lekin,
Woh jo gaata rahega har din
Ghar basana hai naamumkin
Meri amma suno mera kehana,
Are chhodo yeh jidd abb karana


Amma woh jo teri office mein hai
Isi koshish me hai bane
Woh tumhaara hansafar
Achchha nahi woh lage mujhe
Main yeh chaahu ki
Woh dubaara kabhi na aaye idhar
Jab saamane woh aata hai,
Mujhe dekhake darr jaata hai
Kuchh bol nahi paata hai
Meri amma suno mera kehana,
Are chhodo yeh jidd abb karana


Amma meri hai tino me toh
Sabse achchha wahi
Bichara tumhara professor
Sabse alag woh sabse juda,
Sidha saadha sa koyi bhi kahega kar
Kuchh bol na abb chup ho ja,
Huyi raat bahot abb so ja
Sapano ke nagar mein
Kho ja la la la la hmm
Hmm hmm hmm hmm…….