Abhi mujh mein kahin song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Karan Johar. This song was released on 26 Jan 2012.
Baaki thodi si hai zindagi
Jagi dhadkan nai
Jaana zinda hoon main to abhi
Kuchh aisi lagan is lamhe mein hai
Yeh lamha kahan tha mera

Ab hai saamne, ise chhu loon zara
Mar jaaun ya jee loon zara
Khushiyan choom loon ya ro loon zara
Mar jaaun ya jee loon zara
Ho abhi mujh mein kahin
Baaki thodi si hai zindagi

Ho dhoop mein jalte huye tan ko
Chaya ped ki mil gayi
Roothe bacche ki hansi jaise
Fuslaane se phir khil gayi
Kuchh aisa hi ab mehsoos dil ko ho raha hai
Barson ke purane zakhm pe marham laga sa hai
Kuchh aisa reham is lamhe mein hai
Yeh lamha kahan tha mera

Ab hai saamne, ise chhu loon zara
Mar jaaun ya jee loon zara
Khushiyan choom loon ya ro loon zara
Mar jaaun ya jee loon zara

Dor se tooti patang jaisi
Thi yeh zindghani meri
Aaj hoon, kal ho mera na ho
Har din thi kahani meri
Ek bandhan naya peechhe se ab mujhko bulaye
Aane waale kal ki kyun fikar mujhko sataa jaaye
Ik aisi chubhan is lamhe mein hai
Yeh lamha kahan tha mera

Ab hai saamne, ise chhu loon zara
Mar jaaun ya jee loon zara
Khushiyan choom loon ya ro loon zara
Mar jaaun ya jee loon zara