Mere Pairon Me Ghunghroo Bandha De, To Phir Meri Chal Dekh Le Lyrics - Sunghursh | Dilip Kumar | Mohammed Rafi
in Movies
Watch the Video
Song Information
Mere pairon me ghunghroo bandha de, to phir meri chal dekh le song is from Sunghursh (1968) and it is sung by Mohammed Rafi.It stars and Dilip Kumar in leading roles. This song is penned by Shakeel Badayuni and composed by Naushad. It is produced by Harnam Singh Rawail. This song was released on 27 Jul 1968.
Lyrics
dil paayaa albelaa maine tabeeyat meri rangeeli
haay aaj khushi mein maine bhaiyya
thodi si bhang pi lee ha ha ha ha
haay mere pairon mein haay
mere pairon mein ghunghroo bandhaa de
to phir meri chaal dekh le
mere pairon mein ghunghroo
bandhaa de to phir meri chaal dekh le
zaraa jam ke bhaiyyaa mohe laali chunar
mohe laali chunariyaa odhaa de
to phir meri chaal dekh le
mere pairon mein ghunghroo bandhaa de
to phir meri chaal dekh le kyaa chaal hai tori
zaraa jhoom le gori
a-haa, waah
haule dole kisi ki nathni jhoome kisi kaa jhumkaa
har pari dil thaam le apnaa aisaa lagaun thumka
kaise bhalaa jab ho kisi ki byaah sagaayi
meri jawaani le angdaayi meri jawaani le angdaayi
koyi meri haay haay, koyi meri bhi shaadi karaa de
to phir meri chaal dekh le
mere pairon mein ghunghroo bandhaa de
to phir meri chaal dekh le
koyi ghoonghat waali mere dil pe chalaaye chhuriyaan
koyi nainon waali chhod e nainon se phuljhadiyaan
roop hain laakhon aur ik dil hai aape mein rahna bhi mushkil hai
aape mein rahanaa bhi mushkil hai
koyi ankhiyon haay haay koyi ankhiyon se daaru pilaa de
to phir meri chaal dekh le zara nain milaa ke
zara dil lagaa ke
ek najar se dil bharmaye dooji se le jaaye
teeji najar tu aisi maare jo dekhe lut jaaye
saari duniyaa tujhpe deewaani main bhi to dekhoon teri jawaani
main bhi to dekhoon teri jawaani zaraa mukhde hoy hoy
zaraa mukhde se ghunghtaa hataa de to phir meri chaal dekh le
mohe laali chunar mohe laali chunariyaa odhaa de
to phir meri chaal dekh le mere pairon mein ghunghroo bandhaa de
to phir meri chaal dekh le