maut tuu ek kaviitaa hai Lyrics - Amitabh Bachchan | Rajesh khanna | Sumita Sanyal
1970
Lyrics
maut tuu ek kaviitaa hai
mujhase ek kaviitaa kaa vaadaa hai milegii mujhako
duubatii nabzon men jab dard ko niind aane lage
zard saa cheharaa li_e chaand ufak tak pahunche
din abhii paanii men ho raat kinaare ke kariib
na abhii andheraa ho na ujaalaa ho
na raat na din
jism jab khatm ho aur ruuh ko saans aae