Man Men Mere Angaare Hain Lyrics - Malti Madhav | Durga Khote | Anant Marathe | Lata Mangeshkar | Sudhir Phadke
in Movies
Watch the Video
Song Information
Man men mere angaare hain song is from Malti Madhav (1951) and it is sung by Lata Mangeshkar and Sudhir Phadke.It stars Durga Khote and Anant Marathe in leading roles. This song is penned by Pt. Narendra Sharma and composed by Sudhir Phadke. This song was released on 01 Jan 2018.
Lyrics
chhabi terii madhur madhur pyaare
par aansuu mere haare hain
nainon se bahe jal kii dhaaraa
man men mere angaare hain
man men mere angaare hain -3
aasha ke palav suukh gaaye
aasha ke palav suukh gaaye
kumhalayii sapanon kii kaliyaan
kal milan muralii kaa baagi jahaan
suunii man madhuban kii galiyaan
suune nainon ke gagan biich
ye aansuu bhor ke taare hain
man men mere angaare hai
man men mere angaare hain
jab chaah na puurii honii thii
jab chaah na puurii honii thii
dii chaah milan kii kyon man ko
yuun jiinaa hai to jiine kaa
adhikaar diyaa kyon jiivan ko
kab ghadii milan kii aayegii
ye vikal praan path haare hain
man men mere angaare hain
man men mere angaare hain