Maine so baar khyalo song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 30 Sep 1989.
Maine so baar khyalo ke banaye khake
Maine so baar khyalo ke banaye khake
Ek surat hai jo rango mein sawariti nahi
Maine so baar khyalo ke banaye khake


Jiske ango ki lachak mange hai dali dali
Jo kayi phool khila jati hai angdayi se
Jhum kar aati hai sawan ki ghatao ki tarah
Aur lipat jati aakar meri tanhayi se
Mujhse us sokh ki taswir utarti hi nahi
Maine so baar khyalo ke banaye khake


Kitna rangi hai wo sabnam mein nahaya sa badan
Jisko chune ke liye hai pyar hai betab mera
Kash wo husn shama jaye meri baho mein
Jiski chahat mein paresha hai har ek khwab mera
Uski khusbu meri sanso mein bikharti nahi
Maine so baar khyalo ke banaye khake
Ek surat hai jo rango mein sawariti nahi
Maine so baar khyalo ke banaye khake.