Main Kiski Laaj Lyrics - Dilip Kumar | Ranjana | Phari Sanyal | Parul Ghosh

1946

Lyrics

Main kiski laaz nibhau
Aur kaise laaz nibhau
Main kiski laaz nibhau
Ye jag ki reet ka bandhan
Aur preet ki ye hai nishani
Ek mein hai hatho ki saubha
Ek mein mann ki kahani
Ek mein hai hatho ki saubha
Ek mein mann ki kahani

Jaag ke pyar pe dheer dharu
Ya sota pyar jagau
Main kiski laaz nibhau
Karam ka likha padh na pau
Hoon kaun sahara
Dharam bhi pyara
Prem bhi pyara
Kis se karu kinara
Dharam bhi pyara
Prem bhi pyara
Kis se karu kinara

In mandir ki neev pade
Jab ek mandir ko dhau
Main kiski laaz nibhau
Aur kaise laaz nibhau
Main kiski laaz nibhau.