Kya Yun Hi Rooth Ke Lyrics - Pran | Saira Banu | Joy Mukherjee | Mohammed Rafi

1964

Lyrics

Bana ke mera muqaddar
Bigaadane waale
Jawaab de o mera
Ghar ujaadane waale

Kya yun hi ruth ke
Jaane ko mohabbat ki thi
Kya yun hi ruth ke
Jaane ko mohabbat ki thi
Zindagi meri mitaane
Ko mohabbat ki thi
Kya yun hi ruth ke
Jaane ko mohabbat ki thi

Aankh me khab tere
Lab pe kahaani teri
Aankh me khab tere
Lab pe kahaani teri
Mujhako tadapaati hai
Din raat nishaani teri
Kya mujhe tune rulaane
Ko mohabbat ki thi
Zindagi meri mitaane
Ko mohabbat ki thi
Kya yun hi ruth ke
Jaane ko mohabbat ki thi

O mujhe bhulane waale
Tu kahaan hai aajaa
O mujhe bhulane waale
Tu kahaan hai aajaa
Kya hui mujhase khataa
Ye to zaraa batalaa jaa
Yaa ye kah de ke dikhaane
Ko mohabbat ki thi
Zindagi meri mitaane
Ko mohabbat ki thi
Kya yun hi ruth ke
Jaane ko mohabbat ki thi
Kya yun hi ruth ke
Jaane ko mohabbat ki thi.