Koi Na Ho Is Jag Me Lyrics - Apna Ghar | Nanda | Leela Mishra | Kammo | Aarti Mukherji | Mohammed Rafi
in Movies
Watch the Video
Song Information
Koi na ho is jag me song is from Apna Ghar (1960) and it is sung by Aarti Mukherji and Mohammed Rafi.It stars Nanda, Leela Mishra, Kammo, Shyam in leading roles. This song is penned by Prem Dhawan and composed by Ravi Shankar Sharma (Ravi). It is produced by R. Yusuf. This song was released on 01 Jan 2018.
Lyrics
Koi na data is jag me
Aankho se majbhur
Dunia me rah kar bhi hum hai
Is dunia se dur
Aankhe badi hai le mat baba
Aankhe badi hai le mat baba
Jinse jag ujiyara
Andho par kya gujare
Ye kya jane aankho vala
Aankhe badi hai le mat baba
Baba, baba, baba, baba
Aankhe badi hai le mat baba
Oro ki to raat andheri
Apna din bhi andhera
Oro ki to raat andheri
Apna din bhi andhera
Hum hai jaha par us dunia par
Kabhi na hua sawera
Suraj chand sitare sab ko
Suraj chand sitare sab ko
Dekha humne kala
Aankhe badi hai le mat baba
Baba, baba, baba, baba
Aankhe badi hai le mat baba
Kadam kadam par thokar khaye
Rah chali na jaye
Kadam kadam par thokar khaye
Rah chali na jaye
Fir te hai
Apne kandhe par apni lash uthaye
Jiwan bhi ek bojh bana hai
Jiwan bhi ek bojh bana hai
Kab tak jaye sambhala
Aankhe badi hai le mat baba
Baba, baba, baba, baba
Aankhe badi hai le mat baba
Kab tak yu hi sahte jaye
Dunia ke tano ko
Nur chhina behra bhi kar de kano ko
Dekh liya ji bhar ke humne
Tera khel nirala, tera khel nirala
Dekh liya ji bhar ke humne
Tera khel nirala
Aankhe badi hai le mat baba
Baba, baba, baba, baba
Aankhe badi hai le mat baba
Aankhe badi hai le mat baba
Jinse jag ujiyara
Andho par kya gujare
Ye kya jane aankho vala
Aankhe badi hai le mat baba.