Tukdon ki yeh, tasveer hai Tukdon mein bhi lekin, haseen tehreer hai Kehno ko in, kehe lijiye Tewar bhari, jewarnuma yeh zanzeer hai
Yeh zindagi jua hai Kisko yakeen hua hai Baaziyaan namunasib kahin, pad jaaye na Ikk tarfaa safar ke Lab pe yahi dua hai Kahin na gawara modh koi mudh jaaye na
Khuda na khasta, khuda na khasta Kudaya khair kare, khuda na khasta
Ik haath mein, saugaat hai Aur doosre mein, ranjishein hai jazbaat hai Na jaane kyun, iske liye Kohraam mein kuch itt minaan si baat hai
Yeh zindagi dhuaan hai Kisne ise chua hai Titliyon ki tarah shokh hai Udd jaaye na
Ikk tarfa safar ke Lab pe yahi dua hai Kahin nagawara modh koi mudh jaaye na
Khuda na khasta, khuda na khasta Kudaya khair kare, khuda na khasta
(o… jeene ko jo aashiyaana, miyabaad hai) (hooo… palta ussi aashiyaane mein toofan hai) Saaiyaan…saaiyaan…
Itni silwatein, maazi mein padi Jeene ki wajah, unse thi badi Ho zaaya baat kyun, shikwon mein kare Adhoori hasratein, darr pe hai khadi
Ho yeh zindagi nasha hai Takleef mein maza hai Iski fitrat mein hi jung hai, chidd jaaye na Ik tarfa safar ke Lab pe yahi dua hai Kahin nagawara modh koi mudh jaaye na
Khuda na khasta, khuda na khasta Kudaya khair kare, khuda na khasta Khuda na khasta, khuda na khasta Kudaya khair kare, khuda na khasta