Kaisa Ujda Chaman Khushi Ka Lyrics - Mukti | Kanan Devi | Devbala | Pankaj Mullick
in Movies
Watch the Video
Song Information
Kaisa ujda chaman khushi ka song is from Mukti (1937) and it is sung by Kanan Devi.It stars Kanan Devi, Devbala, Pankaj Mullick, P C Barua in leading roles. This song is penned by Arzoo Lakhnavi and composed by Rai Chand Boral. This song was released on 01 Jan 1937.
Lyrics
Kaisa ujdaa chaman khushi ka
Kaisa naseebaa phoot gayaa
Kaisa ujdaa chaman khushi ka
Kaisa naseebaa phoot gayaa
Phool bhi rukhsat boo bhi rukhsat
Phool bhi rukhsat boo bhi rukhsat
Rang bhi gul ka chhoot gayaa
Kaisa ujdaa chaman khushi ka
Kaisa naseeba phoot gayaa
Abhi to wafaa ka putlaa
Ghar se niklaa dil se na niklaa
Un ki lalak hai abhi baaki
Dekhne mein to chhoot gayaa
Kaisa ujdaa chaman khushi ka
Kaisa naseeba phoot gayaa
Kuchh jo pataa bhi us kaa paaye
Kyaa moonh le kar saamne jaaye
Aayega wo kyun laakh bulaaye
Yeh bhi sahaara toot gayaa
Kaisa ujdaa chaman khushi ka
Kaisa naseeba phoot gayaa
Naseebaa phoot gayaa.