Jahan Jayenge Deewane Lyrics - Isi Ka Naam Duniya Hai | Ashok Kumar | Helen | Shyam | Mohammed Rafi
in Movies
Watch the Video
Song Information
Jahan jayenge deewane song is from Isi Ka Naam Duniya Hai (1962) and it is sung by Mohammed Rafi.It stars Ashok Kumar, Helen, Shyam, Sahira in leading roles. This song is penned by Shamsul Huda Bihari (S. H. Bihari) and composed by Ravi Shankar Sharma (Ravi). It is produced by Huda Bihari. This song was released on 17 May 1962.
Lyrics
Chalo mana ke mahfil me
Hame gana nahi aata
Magar ye baat kya kam hai
Ke sharmana nahi aata
Jahan jayenge deewane
Wahi mahfil jama lenge
Jahan jayenge deewane
Wahi mahfil jama lenge
Jise chahenge mastane
Use apna bana lenge
Jahan jayenge deewane
Wahi mahfil jama lenge
Koi jhuk kar mile hamse
To hum sajde kare usko
Koi jhuk kar mile hamse
To hum sajde kare usko
Agar wo jaan bhi mange
To apni jan de usko
Agar wo jaan bhi mange
To apni jan de usko
Agar akde koi hamse to
Kadmo me jhuka lenge
Jise chahenge mastane
Use apna bana lenge
Jahan jayenge deewane
Wahi mahfil jama lenge
Jara puche koi unse
Wo khud ko kya samjhte hai
Jara puche koi unse
Wo khud ko kya samjhte hai
Jo apne aap hi tak husn
Ki duniya samjhte hai
Jo apne aap hi tak husn
Ki duniya samjhte hai
Jidhar dalenge hum nazre
Nayi duniya bana lenge
Jise chahenge mastane
Use apna bana lenge
Jahan jayenge deewane
Wahi mahfil jama lenge
Agar wo muskurade
Chhod de gussa ye naraji
Agar wo muskurade
Chhod de gussa ye naraji
Khushi se haar jayegne
Ye hum jiti hui bazi
Khushi se haar jayegne
Ye hum jiti hui bazi
Ye pal do pal ke jhagde
Inhe has kar mita lenge
Jahan jayenge deewane
Wahi mahfil jama lenge
Jise chahenge mastane
Use apna bana lenge
Jahan jayenge deewane
Wahi mahfil jama lenge.