Jabse pi sang naina laage song is from and it is sung by .It stars , , and in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
Jabse pi sang naina laage
Tabse naahin laage nain
Ho ho gin-gin ghadiyaan din kaatoon main
Gin-gin taare kaatoon rain
Piyaa aan sakhi more nainan mein
Piyaa aan sakhi more nainan mein
Mori nindiyaa churaye gayo
Mori nindiyaa churaye gayo


Main to aas bani saajan ki
Aur saajan moraa re
Main to aas bani saajan ki
Aur saajan moraa re
Laakh manaaun par nahin maane
Ab man moraa re
More tan man mein haaye bedardi
More tan man mein haaye bedardi
Kaisa jaadu jagaaye gayo
Kaisa jaadu jagaaye gayo


Kabhi chup chup ghoonghat kadhoon
Kabhi bindiyaa lagaaun main
Kabhi chup chup ghoonghat kadhoon
Kabhi bindiyaa lagaaun main
Phir apne hi aap ko takke sharmaa jaaun main
Ye pyaar naya singaar naya
Ye pyaar naya singaar naya
Mori sudh bisraaye gayo
Mori sudh bisraaye gayo.