jab tak rahe tan men jiyaa Lyrics - Dharmendra | Asha Parekh | Jaya Bhaduri | Asha

1972

Lyrics

jab tak rahe tan men jiyaa vaadaa rahaa, o saathiyaa
ham tumhaare liye tum hamaare liye
o ham tumhaare liye tum hamaare liye
dhuup lagegii jab jab tumako sajanaa
o daaruungii main aanchal kii chhaiyaan
saanjh pade jab thak jaaoge balamaa
vaaruungii main gorii gorii baiyaan
doluungii banake chaandanii main tere anganaa
jab tak rahe tan men jiyaa vaadaa rahaa o saathiyaa
ham tumhaare liye tum hamaare liye
saarii janam ko ab to apane tan pe haan
o odhii chunariyaa mainne saajan kii
khilii rahe muskaan terii phir chaahe
o lut jaaye bagiyaa mere jiivan kii
main jiivan chhod duun chhoduun na main terii galiyaan
jab tak rahe tan men jiyaa vaadaa rahaa o saathiyaa
ham tumhaare liye tum hamaare liye