Jab raat ka anchal song is from and it is sung by .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 20 Oct 2006.
Husn ko chaand
Jawaani ko kamal kehte hai
Unki soorat nazar aaye to
Ghazal kehate hai
Uff yeh marmar saa tarasha
Huaa safaaf badan
Dekhane wale isse
Taaj mehel kehte hai


Jab raat ka anchal lehraaye
Jab raat ka anchal lehraaye
Aur sara aalam so jaaye
Tum mujhse milane shamaa jalakar
Taaj mahal mein aa jaana
Tum mujhse milane shamaa jalakar
Taaj mahal mein aa jaana
Jab raat ka anchal lehraaye


Yeh taaj mahal do chahat ki
Aankhon ka sunehra moti hai
Yeh taaj mahal do chahat ki
Aankhon ka sunehra moti hai
Har raat yahaan do rooho ki
Khamoshi jinda hoti hai
Iss raat ke saaye mein aakar
Tum geet wafa ke dohrana
Tum mujhse milane shamaa jalakar
Taaj mahal mein aa jaana
Tum mujhse milane shamaa jalakar
Taaj mahal mein aa jaana
Jab raat ka anchal lehraaye


Tanhaai hai jaagi jaagi
Maahol hai soya soya huaa
Tanhaai hai jaagi jaagi
Maahol hai soya soya huaa
Jaise ke tumhare khwabo mein
Khud taaj mahal ho soya hua
Woh taaj mahal ka khwaab tumhi
Woh taaj mahal ka khwaab tumhi
Yeh raaz na maine pehchana
Tum mujhse milne shama jalakar
Taaj mahal mein aa jaana
Tum mujhse milne shama jalakar
Taaj mahal mein aa jaana
Jab raat ka anchal lehraaye


Kehte hai junoon e ishq jise
Rukta hai kahaan talvaro se
Tum der na karna aane mein
Darna na kahin deewaro se
Kehte hai junoon e ishq jise
Rukta hai kahaan talvaro se
Tum der na karna aane mein
Darna na kahin deewaro se
Dekhega tumhari raah yahaan
Dekhega tumhari raah yahaan
Har roz tumhara deewana
Tum mujhse milne shama jalakar
Taaj mahal mein aa jaana
Tum mujhse milne shama jalakar
Taaj mahal mein aa jaana


Jab raat ka anchal lehraaye
Aur sara aalam so jaaye
Tum mujhse milane shamaa jalakar
Taaj mahal mein aa jaana
Tum mujhse milane shamaa jalakar
Taaj mahal mein aa jaana
Jab raat ka anchal lehraaye.