गुज़र जाएगा guzar jayega song is sung by , , , . Record label of this song is Hope. This song is penned by and composed by . This song was released on 31 May 2020.
Hospital Partner: Nayati Healthcare
Curated and Strategized by - Republik of Musik
Supported & Strategise by - Raaj Suri
Supported & Strategized by - Ankur Rana
Online Promotions Powered by - Ankur Rana & Gaurav Rana
Guzar jayega, guzar jayega
Mushkil bahut hai, magar wakt hi toh hai
Guzar jayega, guzar jayega
Zinda rehne ka yeh jo jazba hai phir ubhar aayega
Guzar jayega, guzar jayega

Maana maut chehra badalkar aayi hai
Maana maut chehra badalkar aayi hai
Maana raat kaali hai, bhayaawah hai, gehraai hai
Log darwaazon pe, raston pe ruke baithe hain
Log darwaazon pe, raston pe ruke baithe hain
Kai ghabraye hain, sahme hain, chhipe baithe hain

Magar yakeen rakh…
Magar yakeen rakh, yeh bas lamha hai
Do pal mein bikhar jayega
Zinda rehne ka yeh jo jazba hai phir asar layega
Mushkil bahut hai, magar wakt hi toh hai
Guzar jayega, guzar jayega

Bin kahe kabhi-na-kabhi haqeeqat leti hai imtihaan
Par khare utarne ki naseehat deti bhi toh hai, haan
Bin kahe kabhi-na-kabhi haqeeqat leti hai imtihaan
Par khare utarne ki naseehat deti bhi toh hai, haan
Udhda jo pada, saahas ye sil jayega
Dekhte hi dekhte raakh se tu khil payega

Guzar jayega, guzar jayega
Bandeya, yeh samaan guzar jayega
Guzar jayega guzar jayega
Bebasi ka makaan guzar jayega
Guzar jayega guzar jayega
Bandeya, yeh samaan guzar jayega

Baazar khaali, sadkein sooni, mohalle veeran hain
Baazar khaali, sadkein sooni, mohalle veeran hain
Khauf barpa hai, har taraf log hairaan hain

Yeh woh keher hai jo duniya ko daraane aaya
Yeh woh keher hai jo duniya ko daraane aaya
Magar nasamajh hai jo insaan ko haraane aaya
Itihaas gavaah hai, yeh maslaa bhi sulajh jayega
Itihaas gavaah hai, yeh maslaa bhi sulajh jayega

Zinda rehne ka yeh jo jazba hai, gum hua hai, toota nahi
Zinda rehne ka yeh jo jazba hai, gum hua hai, toota nahi
Yahi jazbaa phir asar layega, phir ubhar aayega
Mushkil bahut hai, magar wakt hi toh hai
Guzar jayega, guzar jayega

Meelon door tak na koi raasta ‘gar dikhe
Aise mein yakeenan kandhe hain dono jhuke
Teri haisiyat ki sar-e-aam boli lagegi
Anhad kharch karke hi kamayega tu fateh

Hai badalta jab samay toh raahein bhi hain badalti
Udhda jo pada, saahas yeh sil jayega
Dekhte hi dekhte raakh se tu khil payega

Guzar jayega, guzar jayega
Bandeya, yeh samaan guzar jayega
Guzar jayega guzar jayega
Bebasi ka makaan gujar jayega
Guzar jayega guzar jayega
Bandeya, yeh samaan guzar jayega

Guzar jayega, guzar jayega
Bandeya, yeh samaan guzar jayega
Guzar jayega guzar jayega

Bandeya, bandeya
Pith karke na baith tu mushkil wal
Saai tere naal ae, mil jaavega hal
Hausla nahi haarida hausla nahi haarida, bandeya
Hausla nahi haarida, bandeya
Ho, jayega ha.