jaa re kaare badaraa balam ke dwaar Lyrics - Sanjeev Kumar | Nanda | Jeetendra | Lata Mangeshkar

1969

Lyrics

jaa re kaare badaraa balam ke dwaar -2
wo hain aise buddhuu na samajhen re pyaar
jaa re kaare badaraa balam ke dwaar
wo hain aise buddhuu na samajhen re pyaar
wahiin jaa ke ro
jaa re kaare badaraa balam ke dwaar
wo hain aise buddhuu na samajhen re pyaar
kinakii palak se palak morii ulajhii -2
nipat anaadii se lat morii ulajhii
ki lat ulajhaa ke main to ga_ii haar
wo hain aise buddhuu na samajhen re pyaar
wahiin jaa ke ro
jaa re kaare badaraa balam ke dwaar
wo hain aise buddhuu na samajhen re pyaar
ang unhiin kii lahariyaa samaa_ii -2
tabahuun naa puuchhen luun kaahe angadaa_ii
ke sau sau bal khaa ke main to ga_ii haar
wo hain aise buddhuu na samajhen re pyaar
thaam lo ba_iyaan chunar samajhaave -2
garawaa lagaa lo kajar samajhaa_o
ke sab samajhaa ke main to ga_ii haar
wo hain aise buddhuu na samajhen re pyaar
wahiin jaa ke ro
jaa re kaare badaraa balam ke dwaar
wo hain aise buddhuu na samajhen re pyaar -2