Izhaar-E-Gham Hain Aansu Lyrics - Janiva Roy

2013

Lyrics

Izhaar-e-gham hain aansu
Khush hoon toh chaar aansu
Izhaar-e-gham hain aansu
Khush hoon toh chaar aansu
Aankhon ki saadagi mein
Hai beshumaar aansu
Izhaar-e-gham hain aansu
Khush hoon toh chaar aansu

Ye shokh ye khushi mein
Nikale machal machal kar
Ye shokh ye khushi mein
Nikale machal machal kar
Lag jaaye thes dil par
Toh zaar zaar aansu
Aankhon ki saadagi mein
Hai beshumaar aansu
Izhaar-e-gham hain aansu
Khush hoon toh chaar aansu

Moti saa ban ke bikhare
Shabnam ke qatre qatre
Moti saa banke bikhare
Shabnam ke qatre qatre
Phoolo ki saadmaae
Mausam ka pyaar aansu
Aankhon ki saadagi mein
Hai beshumaar aansu
Izhaar-e-gham hain aansu
Khush hoon toh chaar aansu

Parwaane ki tamanna
Shoke wafaa mein jalna
Parwaane ki tamanna
Shoke wafaa mein jalna
Shamma pigal pigal kar
Roye hazaar aansu
Aankhon ki saadagi mein
Hai beshumaar aansu
Izhaar-e-gham hain aansu
Khush hoon toh chaar aansu

Aye shaad kya sunaye
Aansu ke yeh fasaane
Aye shaad kya sunaye
Aansu ke yeh fasaane
Gham aur khushi hai dono
Dur parda yaar aansu
Aankhon ki saadagi mein
Hai beshumaar aansu
Izhaar-e-gham hain aansu
Khush hoon toh chaar aansu
Khush hoon toh chaar aansu
Khush hoon toh chaar aansu.