Iss qadar pyar hai tumse aye humsafar Chandni naram si raat ke honth par
Teri nadaaniyan Teri gustakhiyan Mili toh yun judi Ke bheegi raat bhar Iss qadar pyar hai tumse aye humsafar
Dil mein hai betabiyan Neend uddne lagi Tere khayalon se hi Ankh judne lagi Ab toh yeh baahein Jhukti nigahein Bas inhi ki fikr
Teri angdaaiyan
Meri khamoshiyan Mili to yun judi Ke bheege raat bhar Is kadar pyar hai tumse aye humsafar
Meri thi jo khaamiyan Tujhse poori hui Baaki huwe bewajah Tu zaroori hui Ab yeh fasaana Meri jaan-e-jaana Bas chalta rahe umr bhar
Teri madhoshiyan Meri tanhaaiyan Mili toh yun judi Ke bheege raat bhar