Is Taqdeer Ke Aage Lyrics - Taqdeer | Helen | Shyam | Asha Mathur | Mohammed Rafi
in Movies
Watch the Video
Song Information
Is taqdeer ke aage song is from Taqdeer (1958) and it is sung by Mohammed Rafi.It stars Helen, Shyam, Asha Mathur, Madan Puri in leading roles. This song is penned by Verma Malik and composed by Dhaniram. This song was released on 01 Jan 2018.
Lyrics
Is taqdeer ke aage
Koi taqdeer chalti hai
Agar chalti hai dunia ke to
Bas taqdeer chalti hai
Is taqdeer ke aage jhuk gaye
Is taqdeer ke aage jhuk gaye
Muflish or amir
Duniya walo is duniya mein
Sabse badi taqdeer
Dard bhari ek suno kahani
Is takdir ne ki manmani
Katil thahraya nirdosh ko
Bhej diya phir kale pani
Solaha baras ke bad hi tuti
Solaha baras ke bad hi tuti
Kaidi ki zanjeer
Duniya walo is duniya mein
Sabse badi taqdeer
Beta baap mile muskil se
Bichhad gaye aapas mein milke
Baap ke dil mein apne khun ki
Baap ke dil mein apne khun ki
Jab uthi sanse
Duniya walo is duniya mein
Sabse badi taqdeer
Lakho ji armaan hai dil
Khushiyo ke toofan hai dil mein
Par usko malum nahi hai
Par usko malum nahi hai
Ruth gayi takdir
Duniya walo is duniya mein
Sabse badi taqdeer
Apni hi santan se koi
Aaj hua anjan hai koi
Jan pahchan hui na lekin
Jan pahchan hui na lekin
Laga kaleje teer
Duniya walo is duniya mein
Sabse badi taqdeer.