Insaf Ka Mandir Hai Ye Lyrics - Amar | Dilip Kumar | Murad | Madhubala | Mohammad Rafi
in Movies
Watch the Video
Song Information
Insaf ka mandir hai ye song is from Amar (1954) and it is sung by Mohammad Rafi.It stars Dilip Kumar, Murad, Madhubala, Nimmi in leading roles. This song is penned by Shakeel Badayuni and composed by Naushad. It is produced by Mehboob Khan. This song was released on 01 Jan 1954.
Lyrics
Bhagwan ka ghar hai x (3)
Kehna hai jo keh de tujhe
Kis bat ka dar hai
Hai khot tere mann mein jo
Bhagwan se hai door
Hai khot tere mann mein jo
Bhagwan se hai door
Hain paanv tere..
Hain paanv tere phir bhi tu
Aane se hai majboor
Aane se hai majboor
Himmat hai to aaja
Ye bhalaayi ki dagar hai
Insaf ka mandir hai ye
Bhagwan ka ghar hai
Dukh de ke jo dukhiya se na insaf karega
Bhagwan bhi usko na kabhi maaf karega
Ye soch le, ye soch le
Ye soch le har baat ki daata ko khabar hai
Daata ko khabar hai
Himmat hai to aaja
Ye bhalaayi ki dagar hai
Insaf ka mandir hai ye
Bhagwan ka ghar hai
Part 2:
Hai paas tere jiski amaanat use de de
Hai paas tere jiski amaanat use de de
Nirdhan bhi hai
Nirdhan bhi hai insan mohabbat use de de
Mohabbat use de de
Jis dar pe sabhi ek hain
Bande ye woh dar hai
Insaf ka mandir hai ye
Bhagwan ka ghar hai
Part 2:
Maayus na ho haar ke taqdeer ki baazi
Pyara hai woh gam jismein ho
Bhagwan bhi raazi
Dukh dard milein
Dukh dard milein jismein wohi pyar amar hai
Wohi pyar amar hai
Ye soch le har baat ki daata ko khabar hai
Insaf ka mandir hai ye
Bhagwan ka ghar hai x (3)