Hum pyar tumhi se karte song is from and it is sung by .It stars , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Seth Jagat Narain. This song was released on 01 Jan 2018.
Hum pyar tumhi se karte hai
Hum pyar tumhi se karte hai,
Nadan balam tum kya jano
Tum ruth gaye dil tut gaya,
Paaya hai jo gham tum kya jano
Hum pyar tumhi se karte hai


Jab hamko banaya tha apna,
Kyun haal na dil ka jan sake
Ek phool chuna..
Ek phool chuna aur phenk diya,
Khushbu bhi nahi pahachan sake
Thukara diya meri ulfat ko,
Apna yeh sitam tum kya jano
Hum pyar tumhi se karte hai


Mit jaye muhobbat ki duniya,
Yeh baat koi aasan nahi
Armaan bhara,
Armaan bhara ye dil mera,
Najuk hai magar nadan nahi
Munh pher lo hamse lakh magar,
Badalenge na hum tum kya jano
Hum pyar tumhi se karte hai


Hum pyar tumhi se karte hai,
Nadan balam tum kya jano
Tum ruth gaye dil tut gaya,
Paaya hai jo gham tum kya jano
Hum pyar tumhi se karte hai.