Dekho, ye bhi hai, kudrat ka ek hissaJiski kisi panne ke kone ka hai ye kissaNa hai ispe qaabu koi,Na hi apne haathon mein ilaaj iskaPar qudrat ki iss harqat pe,Pehle sochunga, maanu ya na maanuMann hi mann mein thoda kosoongaYe kyon kya kaise huya,Ye jo mann mein sawaal aaye,Unhe main zaroor poochungaBhookhi dharti ko kisan aur har insaan ne kosaKai ne chilla chilla ke apna gala faadaKai ne rassi ke fande ko apnaayaPar hamare gusse aur dard ka ye hai nateejaDo shabd, dharti, maaYahi hum sab tumhe kehte hai naMaana hum se huyi bahut galtiyaanMaafi chaahte hai, hum se huyi ye gustaakhiyaanBachche hai, galtiyaan toh hongi naaHum bachche hai, gustaakhiyaan toh hongi naaBachche hai tumhare hi maa
Phir bhi maa tumne bin daante hi,Seedha haath uthaayaPar maa ho tum hamari, karti ho pyaar sab se zyadaKuch soch ke kiya hoga, tumne ye iraadaYa shayad dekha hoga tumne koi sapna buraKi apne bachcho ko seene se laga liyaKhair, ab ye sirf unke liyeJo hamare saath nahi, tumhari qami mehsoos hogiAur ek din phir mulaqat hogiTum jahan bhi ho, zara sunoWaada tumse ye kareHum hain na, unko gale se lagane koHum hain na, zakhm pe marham lagane koHum hain na, unko phir se hasane koHum hain na, aa..Jab kabhi bhi, agar kahin bhi gir jaaoYa kabhi bhi, phir kahin bhi dar jaaoBas awaaz do, bas awaaz doHum hain na, hum hain naHum hain na, unko gale se lagane koHum hain na, zakhm pe marham lagane koHum hain na, unko phir se hasane koHum hain na, aa..