Hasino Se Hasino Ko Lyrics - Mukesh

1945

Lyrics

hasino se hasino ko, mohabbat ho hi jati hai
hasino se hasino ko, mohabbat ho hi jati hai
jawani se jawani ko, shikayat ho hi jati hai
jawani se jawani ko, shikayat ho hi jati hai
wafa karte jafa kahte hai, hans hans kar hamesha wo
magar muh pher le wo to, kayamat ho hi jati hai
zamane ko nahi hai, kadar dil walo ke dardo ki
hasino ki magar un par, inayat ho hi jati hai
liye baithe hai, liye baithe hai
achhi surte jo apni aankho me
unhe aankhe churane ki, jarurat ho hi jati hai
hasino se hasino ko, mohabbat ho hi jati hai