har hasiin chiiz kaa main talab_gaar huuN Lyrics - Amitabh Bachchan | Nutan | Padma Khanna | Kishore Kumar

1973

Lyrics

har hasiin chiiz kaa main talab_gaar huun -2
ras kaa phuulon kaa giiton kaa biimaar huun -2
har hasiin chiiz kaa main talab_gaar huun
saaraa gaanv mujhe rasiyaa kahe -2
jo bhii dekhe man_basiyaa kahe
haay re jo bhii dekhe man_basiyaa kahe
sab kii nazaron kaa ek main hii diidaar huun
ras kaa phuulon kaa giiton kaa biimaar huun
{koii kahe bhanvaraa mujhe koii diivaanaa
bhed mere man kaa magar kisii ne na jaanaa } -2
ronaa main ne kabhii siikhaa nahiin -2
chakhaa jiivan men phal phiikaa nahiin
haay re haay chakhaa jiivan men phal phiikaa nahiin
main to har mol dene ko taiyaar huun
ras kaa phuulon kaa giiton kaa biimaar huun